Dasavi kaksha ke upraant
Humne jab future ki planning kari
To science, commerce ko chod
"Find a girlfriend" ko sabse zyada tavajjo di
Kyunki hum uub chuke the taano se
Nirdayi samaj aur dosto ke ulhano se
Ab humne bhi ser pe kafan bandh liya tha
Aur kitabon ki nagri se bagawat kar
Ab prem ka parcham utha liya tha
Kafan bandh liya aur parcham bhi lehra aaya
Par shuruaat kaisi karu ye samajh na aaya
Socha kisi se salah mashvara kar lu
To re meri footi kismat bachpan ke ek laute kamine dost ka naam yaad aaya
Aakhirkaar ek din humne bhi himmat juta kar
Use apne aap se kiye vaade ke bare mei bataya
Aur jaisa ki socha tha
Vo kamina sun ne ke baad badi der tak khilkhilaya
"Ladki dhoond li hai ya dhoondni hai..?"
Khilkhilane ke pashchat uska pehla prashna aaya
Aur humne nazare jhuka kar kaha
Isi pareshani ki yukti ke liye mitra tumhe hai bulvaya
Kuch gehan soch vichar kar
Usne kaksha ki sabse khoobsurat ladki ka naam sujhaya
Aur humne baalon mei kanghi ka ek haath maar
Use sheeshe mei apni shakal ka close up deedar karaya
Aur kaha…
Ki Kahan vo swapna sundari mere mitra
Jise bhagwaan ne bhi garmi ki chuttiyon mei banaya hoga
Aur fir idhar dekh apne dost ko zalim
Jise banane ka idea na jaane unhe kahan se aaya hoga
Baat sunkar nirdayi ne haami mei ser hilaya
Aur fir betha ke mujhe sujhav ka tark samjhaya
"ki yahi sab sochte hei aur isi ka fayda uthana hai
Baaki chahe darte rahe par ab tujhe use apna banana hai"
"Competition bada kam hai
And afterall karm hi to dharm hai
Tu ban jaaega ladko ka nayak, humari prajati ki lalkaar
Bas ek prem patra likh de aur karde apni mohabbat ka izhaar"
Vo kapti to shakuni roop tha bol kar chala gaya
Par jaate jaate mere hridya mei prem deepak jala gaya
Meine bhi fir 4 raatein jaagkar
4 prishtho ka lamba patra likha
Patra ko vibhinn scento se mehkaya
Aur lifafe ko apni mohabbat se rang diya
Agli subah prabhu ka naam le
Mei kartvya path par nikal gaya
Baayi aankh ki fadkan ko chod
Mei dil ki dhadkan mei kho gaya
School mei mauka milte hi meine
Guru ki aagya ka palan kiya
Aur khane ki chutti mei chup chap
Uske baste mei apne dil ka haal sarka diya
Dil tham kar ab mei bas uska intezaar kar raha tha
Aur vo kapti dost baju mei beth mujhe muskaan de raha tha
Sadiyon jaise kaate the meine vo kuch pal
Karma to kar diya tha ab "was waiting for the" fal
Vo lehraati hui kaksha mei jab aayi
To mera dil vahi tham gaya
Hoth sukh gaye mere
Aur aankhon ko lakwa maar gaya
Humei nazar-andaaz kar mehboob seat ki taraf badh gaya
Beth-te hue galti se dekha par ek nazar se mujhe ghayal kar gaya
Par vo seat pe kya bethi mera dil beth gaya
Ki uske beth-te hi mera patra uski god mei gir gaya
Usne idhar udhar clue ke liye dekha
To sakpaka ke mei kitabon mei chup gaya
Usne lifafa khola aur meri mohabbat ki dastaan ko bahar nikala
Ye Dekh muskuraya mera dost aur uski taraf chal nikala
"are priya ye kya hai tumhare hathon mei..???
Shakla se to prem patra lagta hai…..:O
Lifafe pe rangon ke istamal ko dekho to….:P
Mujhe koi class ka hi majnu lagta hai….:D"
Chin bhinn ho gaya ye sunte hi mera vishwaas
jab mere hi dost ne sabke saamne udaya meri mohabbat ka parihas
jante bhujthe hue us shakuni ne mujhse ye sab karvaya tha
aur sabse bade font mei patra ke neeche mujhse mera naam likhvaya tha
us din to har kharbooze, chachoondar ne mera mazak udaya
aur us swapna sundari ne bhi har teacher se mujhe pitvaya
Aur fir mere us dost ne hi ghar par is breaking news ko bhi pahuchaya
aur 2 thappad baad hi mujhe mere pitaji se bachaya
dil toota, vishwaas toota aur meine dukhte gaal ko sehla us se sawal kiya
"ki hey mayavi, asur raj tu dost tha mera itna to na girta"
Aur us raavan ne muskura ke jawab diya
"ab chal chod na – tu ladki pata leta to mei kya fir akela firta"…
No comments:
Post a Comment
Please feel free to leave your comment about the post, weather u liked it or not, if any thing u wanted to add or any type of suggestion.... just comment...
Thanks.