05 March 2010

Bihar Ki Nayee Ganga


A Good News Is Coming From Central Government.
Bihar Ki Ganga Ko Lekar Kendra Sarkaar Ka Attitude Positive Lag Raha Hai. Nepal Se Aane Wali Nadiyon Ko Ganga Nadi Ke Samanantar Jorne Ki Yojna Hai Jo Bihar Ke Liye Ek Nayi Ganga Jaisi Hogi. Kendra Sarkar Ne Bihar Sarkar Ke Is Prastav Ki Prarambhik Janch Suru Kar Di Hai. Yojna Aayog (Planning Commission) Ne Is Prastav Ko National Water Development Agency (NWDA) Ko Bhej Diya Hai. Agency Is Project Ka Study Kar Apni Report Planning Commission Ko Degi. Nitish Kumar Ki Government Ne Ye Proposal Center Ke Paas December 2009 Me Bheja Tha.

Aakhir Kya Hai Ye ‘ Bihar Ki Ganga’

Ab Aap Kahenge Ki Ye Nayee Ganga Kya Hai. Details Neeche Hai ……………





Ab Bihar Ki Apni Ganga Hogi. Is Ganga Ke Astitva Me Aane Par State Me Na To Pani Ki Killat Hogi Aur Na Barh Kahar Barpa Sakegi. South Bihar Ko Sukhe Se Bhi Nijat Milegi. Is Ganga Ki Badaulat Bihar Pani Ki Apni Takat Banayega. Jis Pani Ke Karan Bihar Har Varsh Barh Ki Bhishan Trashdi Jhelta Hai, Wahi Is Rajya Ki Samriddhi Ka Pratik Banega.

Nitish Sarkar Ne Nadiyon Ko Jorne Ki Yojna Me Thora Pher Badal Kar Use Bahu Uddeshiya Banaya Hai. Isme Nadiyon Ko Jorne Ke Saath Saath Unse Nahar Nikalne Aur Phir Nahron Ko Jorne Ki Bhi Yojna Hai. Nadiyan Apas Me Jurkar Uttar Bihar Ko Har Varsh Aane Wali Bhishan Parh Se Bachayegi Jab Ki Nahren Kisanon Ko Sichai Ke Liye Paryapta Pani Uplabdh Karayegi. Is Project Par 60 Hazar Crore Rupye Kharach Honge. Sirf Dpr Par 600 Crore Rupye Kharach Ka Anuman Hai.

Nepal Se Aakar Ganga Me Milne Wali Nadiyon Ko Ganga Nadi Ke Hi Parallel Me Is Tarah Se Jora Jayega Ki Bilkul Nayee Ganga Jaisi Hogi. Yah Nayee Ganga Reservoir Ke Roop Me Bhi Kaam Karegi. Yahi Nahin Isme Dus Hazar Mega Watt Tak Pan Bijli Paida Karne Ki Bhi Takat Hogi. Nayee Ganga Parivahan Ke Liye Uttar Bihar Ka Majbot Madhyam Ban Jayegi. Champaran Se Lekar Katihar Aur Kishanganj-Arariya Tak Ganga Me Milne Wali Sari Nadiyan Apas Me Jurengi Aur Nayee Nadi Jaisi Aakriti Le Legi. Isme Gandak, Masan, Ghaghra, Baghmati, Adhwara Samooh, Burhi Gandak, Kamla, Bhuthi Balan, Koshi, Mahananda, Mechi Jaisi Nadiyan Shamil Hain. Ye Sabhi Nadiyan Ganga Me Girti Hain Aur Unka Pani Bihar Ke Liye Bekar Ho Jata Hai. In Nadiyon Ka Pani Ganga Ko Jiwit Rakhe Hue Hai. Ganga Bihar Me Buxar Ke Paas Prevesh Karti Hai Aur Tab Usme Matra 400 Cumek Pani Hota Hai Aur Jab Ki Bihar Chhorte Hue Pirpanti Me Usme 1500 Cumek Pani Hota Hai.




Main Benefits Of This Project
  • Will Be Highly Beneficial For The State.
  • Will Fight Shortage Of Water And Annual Flood.
  • Will Provide Waterways Right From Champaran To Bihar Border-Nepal.
  • Will Be 300 Meters Wide.
  • Will Stop Waters From Nepal .
  • Will Provide Permanent Solution For Flood.
  • Will Provide Water To South Bihar In Times Of Scarcity.
  • Will Be Used As Reservoir.
  • Will Generate 10 Thousand Mw Electricity.
  • Will Provide Water To Thermal Power Plant.
Follow I Love India on Facebook:
Like this Post??? Share it:

No comments:

Post a Comment

Please feel free to leave your comment about the post, weather u liked it or not, if any thing u wanted to add or any type of suggestion.... just comment...
Thanks.